लम्हें जिन्दगी के

मेरी कवितायें

28 march-happy birthday to me

Posted by hemjyotsana "Deep" on March 28, 2008

28-march,
kya aaj kuch khaas hain?
Kuch to hoga warna 28 march shuru hote hi hame itne phone nahin aate. Ek ke baad ek . Ek se baat kar hi rahe the ke dusara waiting mein. Pataa nahin kaise aaj sab hamari yaad aa rahi hai. Kai saathi to ese bhi hai jo mahino yaad nahin karte par aaj…!
Orkut par bhi msg par msg mil rahe to sochaa blog par bhi dekhe wahaa bhi kya aaj hame yaad kiya jaa rahaa hai… Aap logo ko kaise pataa chale ke aaj kya hai… Hamane sochaa hami batade ke aaj kuch khaas nahin hain :)
hamara janam din hai :) bas.
Aaj hindi mein nahin sakti kyo ye post apne nokia N72 phone se kar rahi hun
hamare laptop mein haal filhaal internet nahin.
Kal se ab tak soch rahi hun post karu ya naa karu…. Par ab kar hi deti hu. aap sab ka aashirvaad jo chaahiye.

Hem jyotsana

11 Responses to “28 march-happy birthday to me”

  1. बधाई Says:

    जन्मदिन मुबारक हो आपको
    तुम जियो हजारों साल साल के दिन हो पचास हजार.
    हमेशा खुश रहें आप.

  2. shubhashishpandey Says:

    jandin ki hardik shubhkamnayein

  3. hare prakash upadhyay Says:

    badhaee ji ….jiyen aap jugon-jugon tk

  4. समीर लाल Says:

    अरे वाह!! तब तो जन्म दिन की बहुत बहुत मुबारकबाद/ बधाई/ अनेकों शुभकामनाऐं.

    केक काटा जाये. :)

  5. neeshoo Says:

    aap ko sabse pahle janam din ki hardik badhai .
    aap ne mobail se blog per post kiya isske liye dhnyabad.
    aap ka jivan mangalmay ho yahi kamna hai hamari.
    njoy kariye aaj ka din……….

  6. mamta Says:

    जन्मदिन की ढेर सारी बधाई और शुभकामनाएं।

  7. mehhekk Says:

    janam din bahut bahut badhai hem ji,may god fullfill aal ur wishes.

  8. Hani Salem Says:

    Hi
    you have a nice work here friend com visite me on my site and forums

    http://www.jawhara1.com/vb

  9. Annapurna Says:

    जन्मदिन मुबारक !

  10. सागर नाहर Says:

    आपको जन्मदिन की हार्दिक बधाईयां।

  11. hemjyotsana "Deep" Says:

    शुक्रिया आप सब का ।
    अब हमारे laptop पर internet की सेवा शुरु हो गई । आज तो बहुत सारे पुराने उधार चुकाने है कई ब्लोग नहीं पढ़े हमने ।
    सब सब के सब पढ़े डालेंगे आज :)

Leave a Reply

XHTML: You can use these tags: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <strike> <strong>